Dard apnata hai paraye kaun
Kaun sunta hai aur sunaye kaun
Kaun dohraye wo puraani baat
Gham abhi soya hai jagaaye kaun
Wo jo apne hain kya wo apane hain
Kaun dukh jhele aazamaaye kaun
Ab sukoon hai to bhulaane mein hai
Lekin us shaKhs ko bhulaaye kaun
Aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
Dekhiye aaj yaad aaye kaun
♥ Ch Faheem ♥
0 comments:
Post a Comment